1.18 Socho - Aadhyaatm(spirituality) ke maayne aur Nichiren Buddhism with Supriya - Part I [Hindi]
Description
Iss episode ke part I mein, Supriya Pathak jo ki Bharat ki hain, baat kar rahi hain aadhyaatm, aaj ke samay mein uski zaroorat aur Nichiren Buddhism ke baare mein, aur apne anubhavon ko baant rahin hain humaare saath. Humaara desh aur samaaj aaj kahin na kahin bhool chuka hai humaari sadiyon purani iss dharovar ko jisne aadhyaatm ke kai roopon ko janam diya hai. Agle hafte iss dilchasp episode ka part II zaroor suniye. Aap ka kya maan na hai aadhyaatm ke baare mein? Socho!
Aap mujhse jud sakte hain Instagram pe - instagram.com/par.cha ya fir voice note bhej sakte hain facebook pe - facebook.com/chauhan.parth. Agar aap apni dhvani ko ek anukool manch dena chaahte hain ya fir mere saath kaam karna chahengey, toh email likhiye info.dhvani@co.in pe aur log on kariye www.dhvani.co.in/podcast, aur jaan ne ke liye. Google bhi kar sakte hain ‘Dhvani Podcast’.
Supriya ka Instagram - https://www.instagram.com/supsmyozen
Nichiren Buddhism ke baare mein aur jaankari - https://www.sokaglobal.org
Discord par Dhvani ka Server - https://discord.gg/74AZRaB
Aap mere liye chai ya coffee khareed kar mujhe support kar sakte hain - www.buymeacoffee.com/parthchauhan